Namaste ! swagat hai aap sab ka hamare blog par. Main aaj is post me aapko bataunga ki Digital Signature In HindiDigital Signature Kya Hai? . Digital Signature ki shuruwat kab hui aur iska istemal kaise kiya jata hain.

Aaj kal duniya me har din koi na koi naya technology aata hi rahta hain. Ek time hota tha jab logo ko apna signature bhi karna nhi karna aata tha. Aur aaj kal duniya itni grow kar chuki hain ki ab signature karne ke bhi nai nai Technic aa chuki hain.

Aaj hamlog is post me aapko bataiyenge ki What is digital signature in hindi . Digital signature ke fayede . Waise jab main yah post likh rha tha To mere ek dost ne Call kiya aur puchha to maine bola ko ek post likh rha hu digital signature in hindi .

Usne kaha ki bhai Itna padhe likhe hone ka kya fayeda jab fir se duniya angutha par hi aa gyi biometric.

Ise Bhi Padhiye-

What is digital signature in Hindi ?

Jab aap kisi ko normal document bhejenge aur usme aap pen se signature karenge to wah utna authenticate nahi hoga jitna ki digital signature se hoga. Digital signature ka upyog digital messages or documents pramanit ki pushti karne mathematical schema hain. Yah ek digital sign kiya hua document hota hain jispar ek code likha hota hai jiska upyog kisi bhi document ko authenticate or acceptance ko darshane ke liye kiya jata hain.

Dekhiye jab aap digital sign kiya hua document kisi ko bhejte hain to receiver ko yah trust ho jata hai ki yah document sender ke dawa hi bheja gya hai . Aur use trust hota hai ki yah koi fraud nahin hain.

Iski value utna hi hota hai jitna ki aapke hath se kiye hua signature ki hoti hain aapke dwara hath se kiye gye signature ko koi copy aur modify kar sakta hai but digital signature me aisa kar paana muskil hain.

Digital Signature Ki shuruwat

Dekhiye aapko bata du 1977 me RSA Algorithm ka invention Ron Rivest aur unke friends ke dawara kiya gaya tha. RSA Algorithm ka nam unke naam par hi rakha gaya. Jiske madad se kafi sankhaya me digital signature ke code ko prapat kiya ja sakta tha. Time to time isme upgradge kiya gaya aur aage chalke aaj isme kafi jyada modification kiya gaya.

Digital signature ki bhi utni hi value hai jitni ki aapke hath se kiye gaye signature ki hain. Agar aapne dhyan diya ho to aapko pta hoga jab aap pan card banate ho to dekha hoga ki waha e-sign ke alawa aapko digital signature ka bhi option milta hain . Agar aapne dhyan nahi diya to aage se jarur dhyan dijiyega .

Is digital Signature Valid In India Hindi ?

Ji ha digital signature india me valid hain. Bharat sarkar ne ise kanuni manyata de di hain. Bharat sarkar ne 01 November 2000 ko IT act me ise pass kar diya aur ise bhi utna hi manyata diya jitna ki hath se kiya hua signature ko milta hain.

Chaliye ab bat kar lete hai ki yah kam kaise karta hain.

Digital Signature Kam Kaise Karta Hain ?

Digital Signature provider ek vishes tarah ke protocol ka istemal karte hai jise Public Key Infrastructure kaha jata hain . Iske madhyam se jo signature de rha hota hai uske details ke aadhar par do tarah ki mathematical code generate hoti hai jo kafi lambi hoti hain. Jo is tarah ki hoti hain

  • Public Key
  • Private Key

Jab koi document electronically signed kiya jata hai to signature sign karne wale private key ke dwara generate ki jati hain. Jisme mathematical algorithm ke dawara document ko chek karna aur details ko chek kiya jata hain. Aur is process ko hash kahte hain. Yah digital signature ki main security hoti hain.

Hash ko signer private key se encrypt karta hai jis se digital signature banta hain. Signature ko document ke sath jod diya jata hai aur us par time aur private key bhi likh diya jata hain.

Jab receiver ko yah document milega to wah ise verify karne ke liye public key ka istemal karega jo ki signer ke dwara create kiya gya tha. Wah fir is code ko decrypt karega jis se wah authenticate kar lega ki yah document usi ne bheja hai jiska document hain.

Is Process ko samjhane ke liye aap niche diya image achhe se dekhe.

Private Key Or Public Key  Kya Hai ?

Ab aapke man me yah sawal jarur aaya hoga ki yah private key kya hota hai. Private Key ko Secret Key bhi kaha jata hain. Yah document sign karne wale ke pass hota hain. Jo document sign karne ke kam aata hai aur jis se encrypt kiya jata hain. AUr isko share nahi kiya jata hain.

Jab Public Key Non secrect hoti hain. Isko receiver decrypt karne ke liye istemal karta hain. Har Signed ki private key aur public key different hoti hain. Yah kisi dusre se kabhi match nahi karti hain.

Digital signature trusted authority dawara verify kiya jata hai jise CA yani ki Certificate Authority kaha jata hain.

Digital Signature In Hindi

Digital Signature Ka Upyog |

Digital SIgnature ka upyog Emails , SOftware Distribution , Tax Filling , Tenders , Aur online loan etc kamo me kiya jata hain.

Yah Kaha valid nahi hain.

sab kuchh hote hua bhi digital signature ki manyata aaj bhi nahi many hai kai jagho par jaise Vasiyat , Lease Paper , Divorce paper , Plot Registry etc kamo me iska upyog nahin hota hain.

Digital Signature Kaise Prapt Kare ?

Chaliye aapko batata hu ki digital signature ko aap kaha se prapt kar sakte hain. Dekhiye aap digital signature ko bharat sarkar dawara manyata prapt CA yani Certificate Authority se le sakte hain.

Isko prapat karne ke aapko un Certicate Authority ko apna Identity proof aur address sath me 4 passport size photo unke office bhejna hota hain.

Kuchh CA ki list niche hain.

  • Emudhara
  • CDAC
  • Safe SCrypt
  • n code Capricorn 

Digital Signature Ke Fayede |

Digital signature ke bahut sare fayede hain jaise ki sabse bada fayeda iska yah hota hai ki iska misuse nahi kiya ja sakta hain. Kyu private key secret hota hai aur uska upyog karkefake signature nahi kiya ja sakta hain.

Conclusion |

Maine is post aapko bahut hi achhi tarah bataya ki digital signature kya hai aur iska istemal kaise kiya jata hain. Agar aapko yah post pasand aaya to ise social media par sahre kijiye aur apne bhaiyo aur doston ko jarur bataye .

Agar aapka koi sawal hai to use comment box me jarur puchhe. ❤️

Leave A Reply