Aaj is post me main aapko bataunga ki Best Hindi Novels kaun se hai. Is post ke madhyam se ‘Best Hindi Novels To Read ‘ ke bare me hamlog bate karne wale .

Lagbhag 400 million log hindi bolte hai . Hamare hindi bhasa me bahut sare mahan lekhak hua hai. Unhone bahut sare best novels ko likha hai jo Best sellers novel rahi hain.

Hindi Bhasa me bahut sare novels hai aapko decide karna bahut muskil hoga ki kaun sa novel padhe aur kaun sana padhe . Yaha main aapo ‘ 11 Best Novels in Hindi ‘ Batane wala hu.

In mese kuchh novels to hindi bhasa me likhi gayi thi aur kuchh other languages se translate ki gayi hain hindi me.

11 Best Novels To Read | 11 उपन्यास जो आपको जरूर पढ़ना चाहिए |

Is list me main sabse pahle jis novels ko rakhna chahunga. Wah hoga.

1. Chanakya Mantra| चाणक्य मंत्र

Image result for chanakya mantra

Yah Novels Ashwani Shanghi dwara likha gaya hai. Is novels me historical kahani ko aaj ke terms aur chijo ka use karke likha gaya hai. Jis se novel padhte hai aap isme kho jate hai . Aur aapko lagta hai aap samkalin hain. Isliye maine is novels ko 1st me rkha hain. Yah Novels dusri bhashao se translate ki gayi hain.

2. Godaan

Munshi Premchand ko Kalam ka shipahi kaha jata hai. Munshi Premchand Apne kavitao , Kahaniya aur novels me aam bol chal ki bhasha ka istemal karte the. Yah Sabse pahli bar 1936 me published hua tha. Yah novels cow ko samparpit hain . Godaan Novels ko english me translate karke published kiya gaya hai.

[the_ad id=”47″]

3. Raghubansh

Yah upanyash mahakavi kalidas dwara likha gaya ek best novels hain. Jise aapko jarur padhna chahiye is se aapko kafi motivation milegi. Waise yah novels sankrit me likhi gayi thi . But ab yah hindi me bhi available hai jise aap amazon or flipkart se kharid sakte hain.

4. Nirmala

Nirmala bhi premcahnd dwara likhi gayi ek best novels hain. Is novels me ek dulhan ki kahani hai . Wah abhi bachi hai aur uski shadi aise aadmi se ho jata hai jo us se kai sal bara hai. Maine jab is novels ko padha tha to kafi maja aaya tha . Isliye main aapko recommend krunga ki aap bhi ise jarur padhe. Aap isko bhi flipkart aur amazon se buy kar sakte hain agar aapko iska pdf chahiye to aap google se download kar sakte hain.

5. Apsara

Apsara Suryakant Tripathi Dwara likha gaya ek  best novel hain . Iska Flipkart aur amazon par 5 me se 4 rating logo ne diya hai jo kafi achha hain . Iska value ki bat kare to yah online me aapko 140 rupya tak me mil jayega.

6. Aapki Jit

Agar 6th Best Hindi Novels Ki Bat kare to . Yah Shiv Kheda Dwara likhi gayi english novels hai .Yah unke dwara likhi – You Can Win – A step by step tool for top achievers ka hindi anubad hain. Yah safalta pane ke liye ek workbook hai. Is book ke lekhak likhte hai ki aap agle chapter ko tab tak na padhe jab tak aapko pahla chapter samjh na aaye. c

7. Aapka Bhashisya Aapke Hath Me

Image result for bhavishya aapke hath me

[the_ad id=”72″]

APJ abdul kalam ko kaun nahi janta hai. Log motivation ke liye unke Quotes aur shabdo ko padhte hai. Main khud unke dwara book me kafi padhta hu jo kafi motivational hoti hain. APJ abdul kalam sahab kaha karte the ki ‘ Bhavishay aapke hath me hai ‘ . Unhone apne jeevan me jo -jo face kiya uske aadhar par is book ko unhone likha hai. To aapko yah book jarur padhna chahiye.

8. Sukhmay Jeevan Ke Secrets

Agar spirituality me aap vishwash rakhte hai to aapko yah novel jarur padhna chahiye. Yah Novel Deepak Chopra dwara likha gaya hai.

Wah ek Indian American Author hai . Unhone is book me apne jeevan ke anubhavo ko share kiya hai. Aise aise problem ko isme bataya hai jo thode samay ke liye khushi dete hai aur fir gayab ho jate hai.  Aapko yah novel ek bar jarur padhna chahiye.

9. Panch Parmeshwar

Panch parmeshwar munshi premchand ki ek rachna hain. Isme hindu aur muslim ki achhi dosti ka varnan hai. Maine jab yah novel padha tha to kafi achha laga tha. isme algu chaudhari aur jumman shek ki kafi achhi dosti hoti hai.

Aap yah book online me pdf se bhi padh sakte ya fir google par panch prameshwar search kare aapko mil jayegi.

10. Ghat Ke pathar

Yah novel ‘ Ghat Ke Pathar ‘ Gulshan Nanda dwara likha gaya hain. Yah ek romantic novel hai jisme lily nam ke ek ladki ka varnan hain.  Agar aap romantic novel padhne me interest rakhte hai to is novels ko jarur padhe.

11. Aanand Math 

Image result for anand math

Yah bahut hi puran novels hai jo Bankim Chandra Chatarji Dwara likha gaya hai. Is pustak me uttar bengal ke 1773 ki sanyashi vidroh ka varnan kiya hai . Yah novel azadi ke time likhi gayi thi. Is se padhne par desh bhakti ki bhawana jagrit hoti hain.

Conclusion | Best Hindi Novels

Maine yaha aapko meri anusar best hindi novels kaun hi hain.. Aapko in sabhi novels ko awashya padhna chahiye . Miane yah post likhne me kafi mehnat ki hain . Isliye aapko apne dosto ke sath ise share kare .

Agar aapke anusar koi aur best novels hai to hame comments box me jarur bataye.

Aapko yah post bhi padhna chahiye !

Thanks ❤️

 

Leave A Reply