What is Cryptocurrency In Hindi – इसके कितने प्रकार हैं ?


Cryptocurrency In Hindi – Duniya me bahut sari currencies hain . Aap bharat hai to aapko pta hoga yaha Rupee Pakistan me pakistani Rupee aur US me US $ tatha anay deshon me unke apne apne currencies hain.   Jab aapko bahar se payment lena hota hai jaise ki aap adsense se hi payment lete hai to wahan se yani US se adsense aapke khate me US $ send karti hain. Yaha wah paisa aapke bank me pahuchta hai . Aur aapke bank ke foreign department use verify karke aapke bank account me credit kar deti hain.

Yah to aapki ya dusre desho ki normal currency hoti hai lekin aaj hamlog iskebare me nahi balki bat karne wale hai ‘ Cryptocurrency kya hota hai ? ” What is Cryptocurrency in hindi ? sath hi sath hamlog bat kareneg ki cryptocurrency ka meaning kya hota hain.

Aaiye ab aapko wah important jankari de di du jiske bare me aaj kal bahut jyada charcha ho rha hain.

Cryptocurrency Kya Hai ? |What is Cryptocurrency in hindi ?

Jis tarah hamara normal currency hoti hai usi tarah cryptocurrency bhi ek digital currency hoti hai jiska upyog ham product aur services ko kharidane ke liye karte hain. Yah ek Peer to Peer electronic system hota hai jiska istemal karke hamlog goods ya service ke badle me pay karte hain.

Cryptocurrency me trasaction karne ke liye aapko bank se permission lene ki jarurat nahi hoti hain . Yah bina bank se puchhe bhi kiya ja sakta hain .

Isliye cryptocurrency ka istemal bahut log galat kamon ke liye bhi karte hain.

Cryptocurrency meaning in hindi |

English Meaning – A cryptocurrency is a digital or virtual currency designed to work as a medium of exchange. It a decentralized currency that uses cryptography for security and verification purposes during transactions. Crypto investment can help a common man because it has a high return on investments.

Hindi Meaningcryptocurrency ek dijital ya aabhaasee mudra hai jise exchange  ke maadhyam ke roop mein kaam karane ke lie dizain kiya gaya hai. yah ek vikendreekrt mudra hai jo lenaden ke dauraan suraksha aur satyaapan uddeshyon ke lie cryptocurrency ka upayog karata hai.Cyrpto nivesh ek aam aadamee kee madad kar sakata hai kyonki isamen nivesh par adhik laabh hota hai.

Cryptocurrency Ke Prakar |

Maine aapko pahle hi bataya ki crypto currency ek virtual currency hain aur iske prakar ke bat aap kareneg to yah hajaro me hai but yaha ham log famous crypto currency ke bare me bataiyenge :-

  • Bitcoint BTC
  • Ethereum ( ETH )
  • Litecoin ( LTC )
  • Dogecoin ( Doge )
  • Faircoin ( FAIR )
  • Dash ( DASH )
  • Peercoin ( PPC )
  • Ripple ( XRP )
  • Monero ( XMR )

1. Bitcoin ( BTC )

Cryptocurrency me Bitcoin sabse purani aur sabse vishwasniye mudra hain. Yah duniya ka sabse pahla virtual currency yani cryptocurrency hai , jise Satosgi Nakamoto ne 2009 me banaya tha. Jaise aapko pahle hi bata diya tha ki yah ek digital currency hai jis se aap keval goods aur services kharid sakte hain.

Yah ek De -centrallized currency hai jiska matlab hain is par kisi bhi government ya kisi bhi institute ka koi hath nahin hain. Agar ham iske mulay ki bat kare to iska rate kafi badh chuka hain aur lagbhag 1 coin ka kimat 13 lakh ho chuka .

To aap iske future ka andaja khud laga sakte hain.

2. Ethereum ( ETH )

yah bhi yani Ethereum bhi Bitcoin ki tarah ek open source , decentralized blockchain based computing platform hain. Iska founder ka nam hain Vitalik Buterin. Iske cryptocurrency token ko ether bhi kaha jata hain . Ye platform iske user ko digital token banane me madad karta hain jiski madad se currency ke tor par istemal kiya jata hain.

Etherem ( ETH ) bitcoin ke bad dusra sabse famouse cryptocurrency hain.

3. Litecoin ( LTC )

Tisra sabse famous virtual currency ki bat agar aap karenege to wah hai Litecoin jisko October , 2011 me Charles Lee ke  release hua hai jo pahle google ke employee rahe hain. Iski ban ne ke pichhe bitcoin ka bahut bada hath hai aur iske bahut se features bitcoin se milte julte hain.

Litecoin ki block generation ki time bitcoin ke mukalbe 4 guna kam hain. isliye isme transaction bahut jaldi complete ho jati hain.

4. Dogecoin

Dogecoin ki banne ki kahani kafi rochak hain . is bitcoin ko majak ke liye kutte se iski tula ki gayi jo aage chalkar cryptocurrency ban gayi iske founder Mr. Billy Markus Hai .

Litecoin ke tarah iske algorithm me bhi Scrypt ka istemal hota hain. Aaj Dogecoin ki market value $197 Million se bhi jyada hai ise poore vishwa me 200 merchants se bhi jyada ne accept kiya hain.

5. Faircoin ( FAIR )

Faircoin ek bahut hi bade grand socially – conscious vision ka hissa hai jo ki spain based co-operative organization hai. Jise Catalan Integral Co-operative or CIC ke nam se bhi jana jata hain. Ye bitcoin ke blockchain technology ka istemal karta hain lekin jyada socially .

6. Dash ( DASH )

Dash iska XCoin pahe nam rakha gaya tha. Bad mefir Darkcoin rakha gaya. iska arth hota hain Digital or Cash. Yah bhi ek virtual currency hain jo ki bitcoin ki jaisi hain. lekin isme bitcon se jyada fearures maujud hain.

Isme aapko Instant Send aur Private Send Jaise features maujud hain. Private send me transaction poori tarah se safe hota hain jahan user ki privacy ko kafi importance diya jata hain.

Dash me ek uncommon algorithm ka istemal hota hai Jise X11 kaha jata hain. Yah bahut hi kam powerful hardware se bhi compatible kiya ja sakta hain. X11 bahut hi energy efficient algorithm hai , jo ki Scrypt ki tulna me 30% kam bijli ki khapat karta hain.

7. Peercoin ( PPC )

Peercoin poori tarah Bitcoin protocol par based hain jisme ki bahut se source code dono me milti julti hain. Isme Transaction ko verify karne ke liye proof of work par hi nirbhar nahi kiya jata hain balki iske sath Proof of stake system ko bhi najar rakha jata hain.

Aapko nam se bhi pta chal rha hoga ki Peercoin bhi ek Peer to Peer Cryptocurrency hain . Iske source code ko release kiya gaya hai MIT/X11 software license ke antargat hain.

Peercoin me bhi SHA -256 algorithm ka istemal kiya jata hain iske antargat transaction aur mining karne ke liye bahut hi kam power ka istemal kiya jata hain.

8. Ripple ( XRP )

Ripple ki shuuwat 2012 me kiya gaya Yah bhi ek open source protocol ke upar based hain. Ripple ek real time gross settlement system ( RTGS ) hai jo ki khud ki apni Cryptocurrency chalata hain. Jise Ripple XPR bhi kaha jata hain. iski market value $10 million hain.

Inke Officials ke anusar Ripple user ko secure , instant and nearly free global financial transaction kisi bhi size ke liye pradan karti hain jisme koi charge nahi lagta hain.

9. Monero ( XMR )

Yah Bitcoin ke fork se paida hua hain. Isko 2014 me banaya gaya . Aur iske bad isne prasidhi labh ki hain. Yah cryptocurrency sabhi system ajise Mac , Windows , Linux , Android , FreeBSD me kam karti hain. Bitcoin  high ends GPUs ka istemal karti hai jabki Monero consumer level CPUs ka istemal karti hain.

Cryptocurrency Ke Fayede |

Kisi bhi currency ke fayede aur nuksan apne apne hote hai abhi chaliye hamlog is currency ke fayede ke bare me bat kar lete hain.

  • Crptocurrency me fraud hone ke chances bahut kam hain.
  • Cryptocurrency normal digital pay se jyada secure hain.
  • Isme dusre payment se bahut kam transaction fees hain.
  • Isme account bahut hi safe hote hain kyuki isme alag -alag prakar ke Cryptography Algorithm ka istemal kiya jata hain.

Cryptocurrency Ke Nuksaan |

Cryptocurrency ke nuksan ke bat kare to isme fayeda ke sath – sath nuksan bhi bahut hain. jaise –

  • Cryptocurrency se agar aapne ek bar transaction kar diya to use reverse nahi kar sakte hai kyuki us me aisa koi option nahi hota hain.
  • Agar aapka wallet ID kho jata hai to ise prapt karna muskil hi nahi namumkin hain aise aapke wallet me jo bhi paise hote hai wo sada ke liye kho jate hain.

Conclusion

Maine aapko is post me bahut hi achhi tarah se bataya ki cryptocurrency kya hoti hai aur iska upyog kaise kiya jata hain. Main aasha karhu ki yah post aapko bahut pasand aaya hoga ise aap apne doston ke sath share kijiye sath me agar aapka koi sawal hai to use comment box me jarur puchhiye.

Leave a Comment

X