Table of Contents
But in sab mese mere ko sabse asan jo lagta hai wah paypal kyuki india me to aap bahut se alag alag payment method se money receive to kar sakte ho but aap send nahi kar sakte.
Paypal se aap send bhi kar sakte hai aur receive bhin. Yaha aap aapko step by step sab bataunga.
Yah bhi padhe – Republic Day Speech In Hindi 2020 .
Paypal Kya Hai?
Paypal ek international wallet hai jiske madad se aap kisi bhi country me paise bhej sakte hai aur receive kar sakte hain. Isme aap kahin se bhi paisa receive karte ho ya send krte ho to wah automaticaly wahan ki local currency me convert ho jayegi. Yah ek trusted app hai online transaction karne ke liye.
Paypal Accounts Ke fayede Kya Hai ?
Paypal ke to bahut sare benefits hai but main aaj aapko kuchh benefits ke bare me bata rha hu yahan –
- Paypal ka sabse bada fayeda jo hai wah hai ki aap other countries se money receive aur send kar sakte ho.
- Agar aapke pass credit card nahi hai to wahan aap paypal ka use karke direct pay kar sakte hain. Aap apne debit card ki madad se .
- Saste domain ki kai bar sale lagti hai jahan only paypal aur credit card manga jata hai payment ke liye isliye agar aapke pas ye account hai to easily iska labh le sakte hain.
- Aap apne credits card ki details share kiye bina payment kar sakte hai jis se aapka credit cards ka details secure rhega. Hosting aur doamin provide karne wali companiyon ko paypal se pay karne par kai offer mil sakta hain.
- Bahut se online service me recuring charge lagta hain agar aapke pas paypal hai to aap ise cancel kar sakte hain.
Paypal ke rules
Paypal aapko achha khasa service to deta hai but iske kuchh rule hai jinhe aapko follow karna hoga.
- Aap paypal ke jariye money receive kar sakte hai but India me paypal se aap shopping nahi kar sakte hain.
- Ek indian paypal user dusre indian paypal user ko money transfer nahi kar sakte hain.
Ab chaliye bat kar lete hai ki paypal account kaise banaye.
Paypal Account Kaise Banaye ?
Step-1.
Paypal account banane ke liye aap yaha click kare. Yah aapko paypal.com pe lekar jayega. Wahan par aapko Sign Up For Free par click karna hain.
Ab sign up ke click karne ke bad aapke pas new ek window khul ke aayega usme select karne aap ‘ Individual Account ‘ Banana chahte hain . Ya Bussiness account .
Ab aapko yahan apna email iDaur password dalna hain. Dhyan rakhe yaha aapko apne email ka password nahi balki ek new password dalna hai.
Next par click kare. Ab ek new form open hoga ‘ Tell us about yourself ‘ . Is me aapko apna naam , Address , Pin Code , Debit or credit card . Aur Pancard manga jayega . Yaha sab kuchh sahi sahi phad de. Aap apna real nam hi dale jis se aage chalke aapko koi issue na ho.
Next page me aapse link your debit card puchha jayega agar aapke pass debit ya credit card nahi hai abhi to ” I will link later par click kar de.
Sab kuchh bharne ke bad aapko ek massage dikha diya jayega ki aapka paypal account khul chuka hain. Ab aapko money transfer karne ke liye kuchh kam karna hoga.
#Confirm Your Mobile Number
Ab aapko apna mobile number confirm karna hai iske liye confirmmobile number par click kare aur apna mobile number waha dal de. Ab aapko ek text massage bheja jayega. Jise box me dalke verify kar le.
Mobile number confirm karne ke bad ab aapko Apna email id confirm karna hain .
#Confirm Email Id
Ab iske liye confirm email id par click kare. Ab aapko email id par ek email bhej agya hoga waha se aap apna email id confirm kare.
Ab next step me aapko apna Bank account ka details bharna .
#Add Your Bank Account Details
Add bank account par click kare. Ab yaha is step me aapka apna account number , City , State aur IFSC code dalna hain. Aur next pe click kare. Paypal account se request deposit par click kare. Jis se aapka bank account wo log verify kar sake.
Link Debit / Credit Card With Paypal
Ab aapko apne paypal se apna debit card add karna hain. Aapko bata du ki India me paypal se aap sabhi bank account ke debit card ko link nahi kar sakte hai uske liye yaha list dekhe.
Yah un sabhi banko ke list ahi jiska debit card aur credit card Paypal accept karti hain.
- HDFC Bank (Platinum Chip Debit Card)
- AXIS Bank (Chip Card)
- Kotak Mahindra Bank (Gold Chip Debit Card)
- ICICI Bank
- Indian Bank (EMV MasterCard World)
- Standard Chartered Bank
- CITI Bank (EMV Chip Card)
- IndusInd Bank
- Indian Overseas Bank (EMV Platinum Debit Card)
- YES Bank (EMV Silver MasterCard)
- State Bank of India ( Any Visa Debit Card )
But aapko paypal se transaction karne ke liye aapke debit card me international transaction activate hona chahiye. Iske liye aap apne bank ke custer care ko call karke unhe international transaction activate karne ko kahe.
Conclusion
Main aasha karta hu yah post aapko pasand aaya hoga maine ispost me vistar se bataya ki paypal account kaise banaye. Agar firbhi aapka koi sawal hai to comment me jarur puchhe.